Tuesday, July 10, 2018

Aadhar card me mobile number link h ya nhi check Karen

Aadhaar Card Me Mobile Number Link Hai Ya Nahi Check Kare






Aaj Aadhar card Ek bahut important ID proof Ban chuka hai . Jiski Zaroorat hame Har Jagah padhti h. Chahe padhai karni ho admission Lena Ho Koi Bhi government documents banwane Ho Kisi Sarkari vacancy ke liye apply karna ho ya phir kuch bhi kaam karna ho Aadhar Card bahut zaroori hai.


Isliye Hame Aadhar Card se Judi Hui Jankari Pata hona chahiye
Is post Mein Hum janenge Ki Kya Hamara Aadhar card mobile number Se Juda Hua Hai ya nahi.


आधार कार्ड में मोबाइल नंबर लिंक है या नहीं कैसे जाने ?


Jante Hain aapka Aadhar card aap ke mobile number se link hai ya nahi

Step 1

Sabse Pehle Aap Ko UIDAI.GOV.IN is website par Jana Hoga

Uske baad is Tarah ka page open ho jayega



 uske baad aapko verify email/mobile number par click karna hoga

Step 2

Ab Ek new page open hoga Jis Ke right side me Upar Ki Taraf know how to register mobile with Aadhar likha hoga

Ab aapko know how to register mobile with Aadhar click karna hoga





Step 3
Ab ek new page open hoga
Us mein sabse Neeche ki taraf proceed per click karna hai





Step 4

Ab ek new page open hoga 



1-yahan aapko apna Aadhar card number fill Karna h

2- isme aapko uper diya Gaya code type karna h 

3- ab send OTP per click karna h 

Ab agar aap ka mobile number Aadhar Card se link hai us par Ek OTP (one time password) ayega agar aap ka mobile number registered nahi hai to OTP Nahi Aayega .


Is Tarah Barsane se jaan sakte hain ki aap ka Aadhar card mobile number se link hai ya nahi Agar nahi hai toh aap apne mobile ko Aadhar Card se link kar sakte hai

Agar aapko koi problem hoti hai toh Hame comments Mein zaroor btaye

Agar aapko Ye Jankari acchi lagi Apne Dosto ke sath social media per share kare


                      Thank you 

No comments:

Post a Comment